Kaha chupe beithe ho tum
Kab tak aise satayoge tum
Nahi raha jaata abb jaldi se aa jao
Kya haal hai tere bin ek baar dekh jao
Kitni der aise aur tadpaayoge muje
Kyun es jaan par taras naa aaye tuje
Aab aur ekela mujse raha na jaaye
Tere se alag rehne ka dard saha na jaaye
Kahan,Kis jagah,Kis haal mein ho tum
Kahin tere intzaar mein nikal jaaye na yeh dum
Darsh ko tere taras gyi hain yeh aankhiya
Aab toh taane maare yeh duniya aur sakhiyaa
Bahut ho chuka abb nahi raha jaata
Es duniya ka dard aur nahi saha jaata
Bas tum aa jao,le jaayo muje saath
Ek baar aakar thaam lo,phir chodugi na kabi tera saath
Kabi toh aake sun jao mere dil ka haal
Kyun nahi aata tumhe mera jara be khayal
Kaise kaat rahi hum main yeh kathin din
Ek Ek lamha gujaarti hun tere bin bas gin gin.................
No comments:
Post a Comment